YouTube Channel Monetize Kaise Kare: जाने सही और पूरी गाइड
Har creator youtube par paise kamana chahta hai. Halanki, aapko iske liye apne channel ko monetize karnwana padega. Iske baad aap kai tareeke se youtube par apni kamai kar sakte hai aur jab channel ek baar monetize ho jata hai to aapke youtube channel par engagement rate badhne lagta hai. Halanki, youtube par channel monitize karwana itna asan nhi hai iske liye youtube channel monetize kaise kare ke baare me janna important hai.
Agr aap youtube par apna channel monetize karwana chahte hai jiske baad aap earning kar paaye to aapko is article ko padhna chahiye. Kyonki, mene isme btaaya hai ki kaise aap YouTube monetization rules 2024 tareeko ko follow karte hue apne channel ko monitize kar sakte hai. To chaliye article shuru karte hai.
YouTube Channel Monetize Kaise Kare: कितने सब्सक्राइबर्स की ज़रुरत पड़ेगी
Channel ko monetize kaise karte hain, in steps janne se pehle aapko pata hona chahiye ki YouTube monetization requirements kya hai. Youtube ne channel monetize karne ke liye kuch milestones rakhe hai jisko poora karne ke baad hi aap monetization ke liye Eligible ho paaoge.
Agar aapke Chanel par 1000 subscribers hai aur channel par pichle ek saal se pehle 4000 ghante ka watch time Complete hai to aap channel ko monetize karwa sakte hai. Apne channel ko monetize karne ke liye neeche diye gye steps ko follow kare.
Monetization Ke Liye Apply Kaise Kare:
Monetization karne ki guide ko hamne bahut asan rakha hai to agar aap apne channel ko monitize karwaana chahte hai to neeche diye gye steps ko follow kare.
Steps. 1 Sabse pehle play store me jaakar youtube studio application ko download kare. isko open kare neeche diye options me se aap earn ke option par click kare.
Step. 2 Aapke saamne naya page open ho jaayega jahan par neeche channel monetization ke liye Apply Now ka option diya gya hai us par click kare.
Step. 3 Apply karne ke steps ka page open ho jaayega jahan par aapko Review Base Terms me start ke option par click karna hai.
Step. 4 Iske baad Review Base Terms ka page open ho jaayega neeche accept the YouTube Partner Programme terms, par tick karna hai aur iske baad accept par click karna hoga.
Step. 5 Ab aapko neeche Sign up for AdSense for YouTube, likha dikhega isme aapko start par click karna hai.
Step. 6 Yahan par aapko do options dikhenge ( 1 ) Do you have an exiting AdSense or AdSense for YouTube account ( 2 ) No, I need to create one, agar aapka AdSense ka account bna hua hai to aap 2nd option par click kare warna 1st option par click karna behtar hai.
Step. 7 Jab aap ( 1 ) Do you have an exiting AdSense or AdSense for YouTube account wale option par click karte hai to apke saamne naya page khulega. yahan par Your billing country/territory ke option par click karke apni Country ko select karna hai, uske baad set up account par click kare.
Step .8 Yahan par aap costumer info waale page par aa jayenge jahan ye aapse aapki kuch address se judi details maangega usko fill karke sumbit ke upar aapko click karna hoga.
Step. 9 Ab aapke saame naya page khulega yahan par aapko Redirect to YouTube ke upar click karna hoga.
In steps, ko poora karne ke baad aap Steps to apply ke page par jaayenge jahan get reviewed ka option dikhaayi dega aur saath hi me iske neeche aapko Progress likha dikhega. Iska matlab hoga ki apne safal tareeke ke saath channel monetization ke liye apply kar diya hai.
Aapne channel monetize karne ke liye Successfully apply kar diya hai halanki, aapke monetization ka process poora hone me kam se km kuch hafto se lekar kuch mahine bhi lag sakte hai. Isliye jab tak aapke channel ko approval nhi mil jaata aapko YouTube monetization check karne ke liye intezaar hi karna padega.
यूट्यूब चैनल मोनेटाइज क्यो नही होता है: Youtube Channel monitize kyu nhi hota hai
Aapko apna youtube channel monitize karwaane ke liye kuch rules ko follow karna hota hai. youtube ne apni kai policies bnaayi hai agar aap inko follow karte hue apne youtube channel ko run kar rahe hai, to aap monetization ke liye bhi eligible ho sakte hai.
Kai youtubers ke pass 1000 subscribers to hote hai lekin unke 4000 ghante ka watch poora nhi hota hai isliye youtube aapke channel ko monitize karne ke liye mana karta hai. Agar aapke pass 1000 subsribers ke saath aapka watch time bhi poora hai to aapko youtube channel monetize karne ka tarika janna chahiye.