Social Media

Instagram Par Blue Tick Kaise Lagaye: कुछ ही स्टेप्स में ब्लू टिक लगाए 

Instagram Par Blue Tick Kaise Lagaye

 

 

Instagram par popular hone ke liye blue tick bhi ek achcha tareeka hai. Halanki, kai user apne account par blue tick lagwana bhi chahte hai lekin sahi tareeak pata na hone ki wajh se aisa nahi ho pata hai. Agar aap apne Instagram account par blue tick lagwana chahte hai to instagram par blue tick kaise lagaye ke sabhi steps aapko pata hona kaafi zarori hai. 
Account par blue tick hone ki wajh se kai followers aapse judna chahenge, jisse Engagement rate achche hone ke chances badh jaate hai. Mene apne article me bataya hai ki kaise aap blue tick lagwa sakte hai, yahan par aapko sabhi steps bataye jayenge isliye article ko poora padhe. To chaliye shuru karte hai aur iske baare me aur jaante hai.

Instagram Par Blue Tick Kaise Lagaye: सभी स्टेप्स को जाने 

Apne Instagram ke accout par blue tick lagwane ke liye aapko apply karna padega. Jab aap iske sabhi steps ko follow karke process ko poora kar lete hai, to instagram ki confirmation ke bad aapki profile par blue tick lag jaata hai. Iske baad aapka account verify account me gina jayega, blue tick lagwaane ke liye aap neeche diye steps ko follow kare.
Step 1. Aap apne phone par instagram ki application ko open kare, log-in ke option par click karke apna password aur username daalna hoga aur log-in par click kar de.
Step 2. Ab aap Instagram ke homepage par aa jaayenge, jahan par aapko neeche right corner me profile logo par click karna hai.
Step 3. Logo par click karne ke baad aap profile section me aa jayenge, upar righ me aapko 3 lino wale icon par click karna hai.
Step 4. Yahan aapko kai options dikhayi denge, aapko neeche scroll karna hai aur Account type and tools par click karna hai.
Step 5. Jab aap Account type and tools click karenge aapke saamne kai option dikhayi denge, lekin aapko tools me 2nd option par click karna hai.
Step 6. Aap Apply for instagram verification ke page par aa jayenge, jahan par aapko important information ko fill karne ko kahan jayega aap jankaari ko padhkar usko poora kare.

 

Instagram Par Blue Tick Lagwane Ke Liye Information Fill Kaise Kare

  • Full name ke option par click karke, aap apna poora naam daale.
  • Iske baad aap document type ke upar click kare, aapko kai options dikhenge isme aap apne document ko select karenge. 
  • Iske baad add file ke upar click kare, aapne jis document ko select kiya the usko upload kar de.
  • Ab aap category me jaakar apne instagram account ko select kar lena hai.
  • Aapko country select karni hai, iske liye aap country ke option par click kare aur apni country ko select kare. 
  • Yahan par aapko Audience, Also know as और Link milega, halanki ye optional hai isliye chod bhi sakte hai.
  • Ab aapko last me sumbit ka option dikhega us par aapko click karna hai.
Ye sabhi steps poore hone ke bad aapki request sucsessfuly sumbit kar li jaati hai. Halanki, blue tick lagne se pehle aapke account ko verify kiya jaata hai, jab ye process poora ho jata hai to aapke account par blue tick dikhna shuru ho jaayega.

 

Instagram Par Blue Tick Kitne Followers Par Milta Hai

Instagram par blue tick kaise lagaye iske liye aapko Pehle instagram account ki requirements ko poora karna hota tha. halanki , ab ye thoda sa asan ho gya hai, agar aapke pass 1000 followers ya isse bhi kam followers hai to bhi aap blue tick ke liye eligible honge. 

 

Instagarm पर Blue Tick  मिलने के फायदे

Jab aap apne instagram account par blue tick lagwa lete to isse aapko kai faide dekhne ko mil sakte hai, isse aapka instagram account jaldi grow hoga aur bhi bahut kuch. Neeche aapko isse related kai faaide btaaye gye hai.

 

Instagram Par Blue Tick Se Kya Hota Hai

  • Agar aapke account par blue tick laga hai to aapko story aur live strem ke liye kai new stickers bhi milenge.
  • Instagram par blue tick ki hone se aapke account ki reach bhi badh jaati jisse comment, likes aur share badh jaate hai.
  • Profile par blue tick hone se aapke account profassional accounts me dekha jaata hai, kai user iski wajh se aapse judne bhi lagte hai.
  • Agar aapke account par blue tick hai to aapki story, reels aur post par views aur likes zyada aayenge.

 

Conclusion:  Instagram Par Blue Tick Kaise Lagaye

Instagarm ke kai user jo chahte hai ki unhe pata ho ki instagram par blue tick kaise lagaen. Kyonki, agar aap sahi steps nhi jaante hai to aap blue tick ke liye apply hi kar payenge. Halanki, mene article me wo sabhi steps btaye hai jinhe follow karke aap apne account ko verified account ki ginti me laa sakte hai. 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *