YouTube Channel Search Me Kaise Laye: जानिए सही तरीका
Youtube par apne views aur sbuscribers ko badhane ke liye aapko pata hona chahiye ki YouTube Channel Search Me Kaise Laye. Kyonki agar aisa karne me aap kaamyaab hote hai to aap apne chnnel par videos dekhne waale viewers ki sankhya badhane me kaamyaab ho sakte hai. Halanki, isme aapko kai cheeze dekhni ki zaroorat hai jaise aapke channel ka naam unique aur doosro se bilkul alag ho aur aapka content attractive ho ye aapke channel ko search me laane me madad karta hai.
Agar aapka channel search me nhi dikhaayi de raha hai to iske kai reasons ho sakte hai jiski wajh se aisa hua ho. Youtube par apne channel ko search me laane ke liye aapko kuch khaas baato ka dhyaan rakhne ki zaroorat hoti hai. Mene apne article me Complete tareeka btaaya hai ki kaise aap apne channel ko doosre users ko bhi dikhaane ke liye kin steps ko follow kar sakte hai. To chaliye article me iske baare aur adhik jaante hai.
YouTube Channel Search Me Kaise Laye: अपने व्यूज और सब्सक्राइबर्स बढ़ाये
Agar aapka channel search me aa jaata hai to aap kam samay me apne channel par subscribers ko badhaane ke saath apni videos par views ke numbers ko bhi badha sakte hai. Iske liye aapko neeche diye gye steps ko follow karna hoga jiske baad aap khud apne channel ko search me laane me kaamyaab ho paynege.
अपने channel का नाम Unique रखे
Agar aapne apne youtube channel ka naam sabse alag aur unique rakha hai to isse uske search me aane ke chances badhenge. Halanki, aisa bhi dekha gya hai ki aksar begginers apne channel ko jaldi grow karne aur search me laane ke liye doosre youtube channel ka naam copy kar lete hai.
Magar doosre bade youtubers ke channel ka naam copy karne se aapka channel grow nhi hoga balki, search me bhi nhi dikhaaye dega. Isiliye aapko chahiye ki aap apne channel ka naam asaan aur sabse alag rakhne ki koshish kare.
रेगुलर Videos अपलोड करे
Apne channel ko jaldi search me laane ke liye sabe asaan tareeka hai ki aap regular quality videos upload kare. Isse youtube aapke chnnal ko jaldi recognise karta hai aur iske search me aane ke chances kaafi badh jaate hai. Aap kuch din wait kare aapka channel jaldi aapke saath doosre user ko bhi search me dikhaayi dene lagega.
एक niche का चुनाव करे
Agar aap soch rahe hai ki youtube channel ko search me kaise laye, aap ek hi niche par rozana videos upload kare. Agar aap aisa karte hai to aapki video ke rank me aane ke chances bhi badhte hai kyonki, agar aapki video rank me aa jaaye to use search me asaani se laya jaa sakta hai. Bas dhyaan rakhe ki apni niche se alag koi catogry ki video ko upload karne ke galti na kare.
Channel की सेटिंग में Keyword कैसे डाले
Jab aapne ek YouTube channel bna liya hai ab ise serach me laane ke liye iski setting me jaye aap iski madd se aap SEO kar sakte hai jisse chances hai ki aapka channel me search me dikhaayi de. Apko setting m e jaakr Tag waale section me jaakar apne channel se related sabhi keywords ko darj kare isse aapko kaafi faaida mil sakta hai. Youtube par kaise SEO kare isko karne ke liye neeche steps diye gye hai.
Step 1. Aap sabse pehle apne desktop me kisi browser ke zariye youtube ki website par visit kare. Iske baad jab ise openkarenge isme aapki ID open hogi to aap side me diye gye apne logo ke option par click karenge.
Step 2. Ab aapko kuch options dikhaayi denge aapko youtube studio par click karna hai.
Step 3. Iske baad aapko Basi info me apni Country of residence click karke apni coutnry ko selct kare. Iske baad aapko keyword ke tab karna hai aur wahan par apne sabhi keyword ko psate kar dena hai.
In steps, ko follow karke aap apne channel search me kaise laye ke baare me jaan sakte hai jaise hi aap apne channel ka naam aur usse related keywords daalte hai to aap kuch hi dino me apne channel ko search me dekh sakte sakte hai.